Monday, December 7, 2009

uch nahi
Aaj fir kuch likhne bethe hai dekhte hai kiya likh paate hai... jindgi aise chauraahe par aa ruki hai ki nai samjh aata ki keha jaye kis raaste ka rukh kare.. ye saare do raahe mere hi nikaale hai kaash main aage na badti kaash main un rasto per gayi hi naa hoti maalum tha ki dard milega malum tha dil b tootega fir bhi chalte chale gaye aur chalte chalte aaj jaane keha aaker ruke hai pata hi nai chal paa reha ..
roz kasme khayee humne pyaar nibhane ki kasme khaate hai wafawo ki magar hum to wahi khade rehe aur wo hum se bach ke chale gaye.. yoo kaho to accha hai ..
muhobbat se hume rehmat nai hum to gamo ke kaayel hai...
na karo wada to accha hai hum to yoo hi saath nibhate jayenge.. tum apni kaho kitne kadmo tak saath chaloge..
aksar aankho main nafrat dikhte hai tumhare jab rooth jaate ho tum ye nafrat hi ya nazare inyet hai.... kuch to kaho hum bethey hai intzaar ki koi aaye to hila jaye hume aur hum toot ke bikhar jaye .. in tej hawawo main zarzar ho chuke hai itna ki aaj ungli b rakh doge to bikhar jayege hum..

aaj jab ye post likh rhei thi bohot dil udas tha .. aur baar baar ye keh uthta tha ki
na jaane kyunhota hai ye zindagi ke saath achanak
ye man kisi ke jaane ke baad kare phir
uski yaad chhoti chhoti si baat..
aur ye post ko main yehi khatam kar rehi hoon shaam ke 63 baj chuke hai aur mujhe ghar jana hai shayed jindgi fir koi mode le le fir koi asha ki kiran dikh jaye aur koi joke mujhe hasa jaye.. kaash barish ki boondo main hum b bheeg jaye. hume bhi bhook lag jaye hum bhi nange pair mitti main khele,, aur un jhoolo main unchi peeng bada kar jhoola jhoole... kaash aisa ho pata kaash hum itne bade na hoowe hote kaash ye sab baate na samjh paate ye gam ye khushi ka farak na pata hota ............................ KASHhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
Posted by Its Me at 5:14 AM 0 comments
Tuesday, August 25, 2009
dil ko khush rakhne ko ye khyaal accha hai
aaj subhe chale they hosla karke laut aaye khuda khuda karke..
kabhi kabhi ye lines humari jindgi main kitni sateek bethti hai.. kal jin aankho main aansoo they shikaayat thi jehan kal hum ye faisla kar chuke they ki na karenge muhobaat kisi se na hogi tawajjo kahi.. fir aaj in aakho main khushi ki chamk hai fir aaj intzaar bhi hai ...

yoon lagta hai kal raath ki barish main mann ko bhigo aaye hai hum
dil fir un galiyon main kahi kho aaye hai hum...
jin yado ko kamre main band kar chuke they chabiya kahi kho chuke they hum
aaj fir un yado ke kamro ki khidkiyon se jhaank rahe hai hum,
tere dil ke dard ki wajh hum sabit ho rehe hai magar..
doowa karenege ki hum hi dawa bhi sabit ho jaye..
jab jab unke haatho main haath hota hai humara to sare jag ki khushi si mil jaati hai
choot jaye to hararat baaki reh jaati hai.. ..............................
roj saath rehkar bas yehi dil chata hai ki ye saaath kabhi na choote ye safar kahi khatam na ho.. bas hum chalte rahe ... tumhari ankho main aksar aansoo dikh rehe hai kuch roj se na kiya karo unhe jahir toot jaate hai unhe dekh ke hum..
tere saath jaane keha chali aayi hoon main bas tere pyaar ke sahare mano jindgi jiye jaa rehe hai hum
abi tak bewajh se thi jindgi aaj wajh se mil gayi hai mujhe .. mmuuuuhaaaaaaaa lov u

sham ke 4.30 baje hai wo mere seene main kaid hai bas wo aur main aur koi nai ...
Posted by Its Me at 4:02 AM 0 comments
Thursday, October 8, 2009

wo diwali ki raat

halaat kabi aise ho jate hai jab hum kuch nai keh paate bas hone wali ghatawo main ulajh ke rehe jaate hai.. aaj dil bohot udas hai aur aas paas ka nazaar mano mujhse ruswa hoker betha hai..
kehne ko diwali hai logo ke chehre ki khushi un per acchi lag rehi hai aur main us khushi ko lene ko razi nai..
yon behte paani main behte chale gaye na kishti mili na tinka mila aur
aur besahara se hum gehre sagar main doobte chale gaye...
umeed thi ki wo haath bada lenge rok lenge mujhe behte dariya main doob jaane se
na maalum tha ki wo hi anjaan banke chale jayenge..
aksar aankho main nafart si faily naar aati hai..
baato main ranjish si nzar aati hai.. keha gayi wo khanak tumahri hasi main aati thi... keha gayi baate jo tum keh kar hasa jaya karte they.